sitam koi naya ijad karna
to mujh ko bhi meri jaan yaad karna
qayamat hai dil-e-nalan qayamat
tera rah rah ke ye fariyaad karna
chalo ab lutf hi ko aazmao
tumhein aata nahin bedad karna
asir-e-zulf hai 'mahrum' un ka
jinhen aata nahin aazad karna

Ghazal
Sitam koi naya ijad karna
Tilok Chand Mahroom