اردو हिंदी
Sitam ki rasMein bahut thin lekin na thi teri anjuman se pahle | Shaahi Shayari
sitam ki rasMein bahut thin lekin na thi teri anjuman se pahle

Ghazal

Sitam ki rasMein bahut thin lekin na thi teri anjuman se pahle

Faiz Ahmad Faiz

;

sitam ki rasmen bahut thin lekin na thi teri anjuman se pahle
saza KHata-e-nazar se pahle itab jurm-e-suKHan se pahle

jo chal sako to chalo ki rah-e-wafa bahut muKHtasar hui hai
maqam hai ab koi na manzil faraaz-e-dar-o-rasan se pahle

nahin rahi ab junun ki zanjir par wo pahli ijara-dari
giraft karte hain karne wale KHirad pe diwana-pan se pahle

kare koi tegh ka nazara ab un ko ye bhi nahin gawara
ba-zid hai qatil ki jaan-e-bismil figar ho jism o tan se pahle

ghurur-e-sarw-o-saman se kah do ki phir wahi tajdar honge
jo KHar-o-KHas wali-e-chaman the uruj-e-sarw-o-suman se pahle

idhar taqaze hain maslahat ke udhar taqaza-e-dard-e-dil hai
zaban sambhaalen ki dil sambhaalen asir zikr-e-watan se pahle