sitam hai apna kisi ne bana ke luT liya
meri nazar se nazar ko mila ke luT liya
harim-e-naz ke parde mein jo nihan tha kabhi
usi ne shoKH adaen dikha ke luT liya
raha na hosh mujhe us ke baad phir kuchh bhi
ki jab kisi ne muqabil mein aa ke luT liya
ajib naz se ulTi naqab-e-ruKH is ne
ki mujh ko ruh-e-munawwar dikha ke luT liya
lo hum bhi aaj to 'taban' fareb kha baiThe
kisi ne yunhi mohabbat se ja ke luT liya
Ghazal
Sitam hai apna kisi ne bana ke luT liya
Anwar Taban