sitam-e-na-rawa ko rote hain
charKH teri jafa ko rote hain
KHun rulwa rahi hai yaad-e-wafa
ek sarapa-wafa ko rote hain
is tarah aai waqt se pahle
aane wali qaza ko rote hain
ab ye us tak pahunch nahin sakta
nala-e-na-rasa ko rote hain
bah gaya aankh se lahu ho kar
dil-e-dard-ashna ko rote hain
jaan le kar gaya wo aaKHir-e-kar
maraz-e-la-dawa ko rote hain
jaane wale ki ye nishani hai
dekh kar naqsh-e-pa ko rote hain
dard sa dard hai bhara us mein
TuTe dil ki sada ko rote hain
rote jo aae the rula ke gae
ibtida intiha ko rote hain
rang-o-bu ab kahan wo gul hi nahin
is chaman ki hawa ko rote hain
hai faza-e-chaman ghubar-alud
hum mukaddar faza ko rote hain
KHak mein milne ko hai sab ka husn
gul-e-rangin qaba ko rote hain
mehndi pis kar lahu rulati hai
pisne wali hina ko rote hain
nafas-e-sard ye bani bhi to kya
mauj-e-baad-e-saba ko rote hain
bagh-e-alam mein is tarah be-did
nagis-e-nim-wa ko rote hain
chha gai kaisi tirgi un par
mehr-o-mah ki ziya ko rote hain
kaam aaya na ye kisi ke bhi
KHizr aab-e-baqa ko rote hain
chup hain yun jaise in mein jaan nahin
lab-e-mojiz-numa ko rote hain
ab su-e-asman nahin uThta
apne dast-e-dua ko rote hain
jaan ko le ke sath jaana tha
is dil-e-mubtala ko rote hain
de gaya dagh-e-gham ye kaun 'riyaz'
hum gham-e-der-pa ko rote hain
Ghazal
Sitam-e-na-rawa ko rote hain
Riyaz Khairabadi

