sitaron se bhara ye aasman kaisa lagega
hamare baad tum ko ye jahan kaisa lagega
thake-haare hue suraj ki bhigi raushni mein
hawaon se ulajhta baadban kaisa lagega
jame qadmon ke niche se phisalti jaegi ret
bikhar jaegi jab umr-e-rawan kaisa lagega
isi miTTi mein mil jaegi punji umr bhar ki
giregi jis ghaDi diwar-e-jaan kaisa lagega
bahut itra rahe ho dil ki bazi jitne par
ziyan baad az ziyan baad az ziyan kaisa lagega
wo jis ke baad hogi ek musalsal be-niyazi
ghaDi bhar ka wo sab shor o fughan kaisa lagega
abhi se kya bataen marg-e-majnun ki KHabar par
suluk-e-kucha-e-na-mehrban kaisa lagega
batao to sahi ai jaan-e-jaan kaisa lagega
sitaron se bhara ye aasman kaisa lagega
Ghazal
Sitaron se bhara ye aasman kaisa lagega
Iftikhar Arif