sitara-saz ye hum par karam farmate rahte hain
andheri raat mein jugnu sa kuchh chamkate rahte hain
suna hai shor se hal honge sare masale ek din
so hum aawaz ko aawaz se Takraate rahte hain
jahan mein amn kaise phailta hai kaise phailega
wo sab ko tir se talwar se samjhate rahte hain
ye kaisi bhiD mere gird hai ghabra gaya hun main
tamasha dekhne wale to aate jate rahte hain
baDa dilchasp karobar ab ke sal chal nikla
hawas ke aaine ko ishq se chamkate rahte hain
isi duniya se diwaren uThana hum ne sikha hai
hum is duniya ko har diwar se Takraate rahte hain
Ghazal
Sitara-saz ye hum par karam farmate rahte hain
Nomaan Shauque