sitara aankh mein dil mein gulab kya rakhna
ki Dhalti umr mein rang-e-shabab kya rakhna
jo regzar-e-badan mein ghubar uDta ho
to chashm-e-KHak-e-rasida mein KHwab kya rakhna
safar nasib hi Thahra jo dasht-e-ghurbat ka
to phir guman mein fareb-e-sahab kya rakhna
jo Dub jaana hai ek din jazira-e-dil bhi
to koi naqsh sar-e-sath-e-ab kya rakhna
ulaT hi dena hai aaKHir piyala-e-jaan bhi
hawa ke dosh pe tasht-e-habab kya rakhna
bas itna yaad hai ek bhul si hui thi kahin
ab is se baDh ke dukhon ka hisab kya rakhna
Ghazal
Sitara aankh mein dil mein gulab kya rakhna
Akram Mahmud