sirf mere liye nahin rahna 
tum mere baad bhi hasin rahna 
peD ki tarah jis jagah phuTa 
umr-bhar hai mujhe wahin rahna 
mashghala hai sharif logon ka 
surat-e-mar-e-astin rahna 
dili ujDi udas basti mein 
chahte the kai makin rahna 
mar na jae tumhaari phulwari 
qarya-e-zaKHm ke qarin rahna 
muskuraata hun aadatan 'aslam' 
kaun samjhe mera ghamin rahna
        Ghazal
Sirf mere liye nahin rahna
Aslam Kolsarii

