simTe to aise shams-o-qamar mein simaT gae
bikhre to aise KHak ke zarron mein baT gae
manzil kahan safar hi safar ho gai hayat
itna chale ki panw se raste lipaT gae
ye waqt ka karam hai ki rukte nahin hain din
kaTna na chahiye tha jinhen wo bhi kaT gae
ab dekhna hai kaun sanwarega tere phul
ek hum hi teri rah ka kanTa the hiT gae
qad-awari pe hum ko bahut naz tha magar
jab zindagi ki aag se guzre to ghaT gae

Ghazal
SimTe to aise shams-o-qamar mein simaT gae
Mushtaq Naqvi