اردو हिंदी
SimTe rahe to dard ki tanhaiyan milin | Shaahi Shayari
simTe rahe to dard ki tanhaiyan milin

Ghazal

SimTe rahe to dard ki tanhaiyan milin

Yusuf Azmi

;

simTe rahe to dard ki tanhaiyan milin
jab khul gae to dahr ki ruswaiyan milin

KHwabon ke ishtihaar the diwar-e-jism par
dil ko har ek moD pe be-KHwabiyan milin

honTon ko chumti thin munawwar KHamoshiyan
barfab si guphaon mein sargoshiyan milin

dushwar raston pe to kuchh aur baat thi
yun dil ko moD moD pe aasaniyan milin

jo hath apna nam bhi likh kar na ji saka
us hath ko hayat ki sardariyan milin