silsila mere safar ka kabhi TuTa hi nahin
main kisi moD pe dam lene ko Thahra hi nahin
KHushk honTon ke tasawwur se larazne walo
tum ne tapta hua sahra kabhi dekha hi nahin
ab to har baat pe hansne ki tarah hansta hun
aisa lagta hai mera dil kabhi TuTa hi nahin
main wo sahra jise pani ki hawas le Dubi
tu wo baadal jo kabhi TuT ke barsa hi nahin
aisi virani thi dar pe ki sabhi kanp gae
aur kisi ne pas-e-diwar to dekha hi nahin
mujh se milti hi nahin hai kabhi milne ki tarah
zindagi se mera jaise koi rishta hi nahin
Ghazal
Silsila mere safar ka kabhi TuTa hi nahin
Sultan Akhtar