silsila jab teri baaton ka jawan hota hai
tab har ek jam-ba-kaf jaane kahan hota hai
uf re wo aah jo sine se nikal bhi na sake
hae wo dard jo aankhon mein nihan hota hai
KHud-farebi hai thakan hai ki shikasta-pai
har qadam par mujhe manzil ka guman hota hai
in ki nazron ka baDhawa hai wagarna hum se
haal-e-dil kab kisi surat mein bayan hota hai
mahfil-e-ghair mein kya ishq-o-wafa ki baaten
yan to ye zikr bhi zehnon pe giran hota hai

Ghazal
Silsila jab teri baaton ka jawan hota hai
Mushtaq Naqvi