sikha diya hai zamane ne be-basar rahna
KHabar ki aanch mein jal kar bhi be-KHabar rahna
sahar ki os se kahna ki ek pal to ruke
ki na-pasand hai hum ko bhi KHak par rahna
tamam umr hi guzri hai dastaken sunte
hamein to ras na aaya KHud apne ghar rahna
wo KHush-kalam hai aisa ki us ke pas hamein
tawil rahna bhi lagta hai muKHtasar rahna
safar aziz hawa ko magar aziz hamein
misal-e-nikhat-e-gul us ka ham-safar rahna
shajar pe phul to aate rahe bahut lekin
samajh mein aa na saka us ka be-samar rahna
ajib tarz-e-takallum hai us ki aankhon ka
KHamosh rah ke bhi lafzon ki dhaar par rahna
waraq waraq na sahi umr-e-raegan meri
hawa ke sath magar tum na umr bhar rahna
zara si Thes lagi aur ghar ko oDh liya
kahan gaya wo tumhaara nagar nagar rahna

Ghazal
Sikha diya hai zamane ne be-basar rahna
Wazir Agha