sikandar hun talash-e-ab-e-haiwan roz karta hun
abhi naqsh-o-nigar-e-zindagi mein rang bharta hun
laga kar sab lahu aaKHir hue daKHil shahidon mein
main apni lash raste se haTane tak se Darta hun
parai aag gar hoti to kab ki jal bujhi hoti
main hanste khelte mauj-e-hawadis se guzarta hun
yaqinan maut ke har aks par wo KHak Dalega
dua se jis ki main ab tak na jita hun na marta hun
kabhi meri talab kachche ghaDe par par utarti hai
kabhi mahfuz kashti mein safar karne se Darta hun
tumhaara izn ho hasil to dariya rasta denge
jahan firaun Duba tha wahin pe par utra hun
'farid' us ki talab mujh ko jhankti hai kuen aksar
wo chehra jis ki chahat mein main kya kya kar guzarta hun
Ghazal
Sikandar hun talash-e-ab-e-haiwan roz karta hun
Fareed Parbati