اردو हिंदी
Sine mein dagh hai tapish-e-intizar ka | Shaahi Shayari
sine mein dagh hai tapish-e-intizar ka

Ghazal

Sine mein dagh hai tapish-e-intizar ka

Asif-ud-Daula

;

sine mein dagh hai tapish-e-intizar ka
ab kya karun ilaj dil-e-dagh-dar ka

us se mujhe milao ki marta hun hijr mein
bais hai zindagi ka meri wasl yar ka

sayyaad ab to chhoD de aati hai fasl-e-gul
dekhunga hae kyun ki tamasha bahaar ka

shayad tumhaare din mein hai ai dilbaro rawa
dil chhin lena aashiq sina-figar ka

shabnam nahin hai barg ke upar chaman ke bich
'asif' gira hai ashk kisi be-qarar ka