sine ki misal aag hai chandi sa dhuan hai
kya KHub mere ghar ki tabahi ka saman hai
dekhun to mere gham mein sharik ek zamana
sochun to yahan koi makin hai na makan hai
kis darja tilismi hai mere ganw ka manzar
sukhe hue har khet pe sabze ka guman hai
aisa bhi koi shahr-e-tamanna hai zamin par
luTne ka jahan KHauf na andesha-e-jaan hai
pital ka KHaridar samajhte hain mujhe log
har shaKHs ki bazar mein chandi ki dukan hai
aari hai magar zaKHm se har saya-e-diwar
har chand ki diwar pe barish ka nishan hai
patthar ke kisi shahr mein aabaad hai 'shahid'
hai mom ka insan to shishe ka makan hai

Ghazal
Sine ki misal aag hai chandi sa dhuan hai
Shahid Shaidai