sine ki KHanqah mein aane nahin diya
hum ne use charag jalane nahin diya
duzdan-e-nim-shab ne bhi hile bahut kiye
lekin kisi ko KHwab churane nahin diya
ab ke shikast-o-reKHt ka kuchh aur hai sabab
ab ke ye zaKHm teri jafa ne nahin diya
is bar to sawal bhi mushkil na tha magar
is bar bhi jawab qaza ne nahin diya
kya shaKHs tha uData raha umr bhar mujhe
lekin hawa se hath milane nahin diya
mumkin hai wajh-e-tark-e-talluq usi mein ho
wo KHat jo mujh ko baad-e-saba ne nahin diya
is hairati nazar ki simaTti giraft ne
uThta hua qadam bhi uThane nahin diya
sham-e-widaa thi magar us rang-baz ne
panw pe honT rakh diye jaane nahin diya
kuchh to 'hasan' wo dad-o-sitad ke khare na the
kuchh hum ne bhi ye qarz chukane nahin diya
Ghazal
Sine ki KHanqah mein aane nahin diya
Hasan Abbas Raza