اردو हिंदी
Sine ke zaKHm panw ke chhaale kahan gae | Shaahi Shayari
sine ke zaKHm panw ke chhaale kahan gae

Ghazal

Sine ke zaKHm panw ke chhaale kahan gae

Kaleem Aajiz

;

sine ke zaKHm panw ke chhaale kahan gae
ai husn tere chahne wale kahan gae

shanon ko chhin chhin ke phenka gaya kahan
aaine toD-phoD ke Dale kahan gae

KHalwat mein raushni hai na mahfil mein raushni
ahl-e-wafa charagh-e-wafa le kahan gae

but-KHane mein bhi Dher hain TukDe haram mein bhi
jam-o-subu kahan the uchhaale kahan gae

aankhon se aansuon ko mili KHak mein jagah
pale kahan gae the nikale kahan gae

barbaad-e-rozgar hamara hi nam hai
aaen tamasha dekhne wale kahan gae

chhupte gae dilon mein wo ban kar ghazal ke bol
main DhunDhta raha mere nale kahan gae

uThte houn ko sab ne sahaara diya 'kalim'
girte hue gharib sambhaale kahan gae