اردو हिंदी
Sina madfan ban jata hai jite jagte raazon ka | Shaahi Shayari
sina madfan ban jata hai jite jagte raazon ka

Ghazal

Sina madfan ban jata hai jite jagte raazon ka

Ghulam Mohammad Qasir

;

sina madfan ban jata hai jite jagte raazon ka
jaanchna zaKHmon ki gahrai kaam nahin andazon ka

sari chabiyan mere hawale kin aur us ne itna kaha
aaThon pahar hifazat karna shahr hai nau darwazon ka

samne ki aawaz se mere har ek rabte mein hail
daen baen phaila lashkar anjaani aawazon ka

aankhen aage baDhna chahen pichhe rah jati hai nazar
palkon ki jhaalar pe numayan kaam sitara-sazon ka

yun to ek zamana guzra dil-dariya ko KHushk hue
phir bhi kisi ne suragh na paya Dube hue jahazon ka