اردو हिंदी
Sina KHun se bhara hua mera | Shaahi Shayari
sina KHun se bhara hua mera

Ghazal

Sina KHun se bhara hua mera

Akhtar Ansari

;

sina KHun se bhara hua mera
uf ye bad-mast mai-kada mera

na rasai pe naz hai jis ko
hae wo shauq-e-na-rasa mera

ishq ko munh dikhaunga kyunkar
hijr mein rang uD gaya mera

dil-e-gham-dida par KHuda ki mar
sina aahon se chhil gaya mera

yaad ke tund-o-tez jhonke se
aaj har dagh jal uTha mera

yaad-e-mazi azab hai yarab
chhin le mujh se hafiza mera

minnat-e-charKH se bari hun mein
na hua jite-ji bhala mera

hai baDa shaghl zindagi 'aKHtar'
puchhte kya ho mashghala mera