sina hai ek yas ka sahra liye hue
dil rang-e-gulsitan-e-tamanna liye hue
hai aah dard-o-soz ki duniya liye hue
tufan-e-ashk-e-KHun hai girya liye hue
ek kushta-e-firaq ki turbat pe nauhagar
dagh-e-jigar mein sham-e-tamanna liye hue
main ek taraf hun shakl-e-KHizan paemal-e-yas
ek samt wo bahaar ka jalwa liye hue
jaana sambhal ke ai dil-e-betab bazm mein
hai chashm-e-naz mahshar-e-gham-za liye hue
sozan na ye chaman ho mere nur-e-ah se
o gulshan-e-jamal ka jalwa liye hue
majnun se to haqiqat-e-sahra-e-najd puchh
hai zarra zarra jalwa-e-laila liye hue
ishq-e-junun-nawaz raha bazm-e-naz mein
ek iztirab-o-shauq ki duniya liye hue
meri to har nigah hai waqf-e-ubudiyat
wo har ada mein husn-e-kalisa liye hue
marham se be-niyaz hai 'pinhan' ye zaKHm-e-dil
kya kya fusun hai chashm-e-dil-ara liye hue

Ghazal
Sina hai ek yas ka sahra liye hue
Pinhaan Sipher Ara Khatoon