اردو हिंदी
Sikha jo qalam se na-e-Khaali ka bajaana | Shaahi Shayari
sikha jo qalam se na-e-Khaali ka bajaana

Ghazal

Sikha jo qalam se na-e-Khaali ka bajaana

Baqaullah u0027Baqau0027

;

sikha jo qalam se na-e-KHali ka bajaana
kar naghma 'baqa' fikrat-e-ali ka bajaana

tasma mere mat dil pe diwali ka bajaana
ye laT jo hai chabuk usi kali ka bajaana

mara kiye mutrib ba-chugan dil pe thapeDe
sikhe isi table pe wo tali ka bajaana

ulfat mein teri ai but-e-be-mehr-o-mohabbat
aaya hamein ek hath se tali ka bajaana

le mol mere dil ka wo jab saghar-e-nazuk
yaad aawe na kash us ko sifali ka bajaana

is nala-e-be-saut ne hairat mein sikhaya
saz ab mujhe taswir-e-nihali ka bajaana

bas ai gham-e-ghammaz meri aah-e-jigar se
lanat hai tera baam pe thaali ka bajaana

be-saqi-o-mai soch mein hai kaam hamara
baiThe sir-e-naKHun se pyali ka bajaana

is kudak-e-be-hosh ka aafat hai shab uTh kar
Thekon pe meri aah ke tali ka bajaana

sunta hun kisi poch ki jab daf-zani-e-fikr
aata hai mujhe yaad Dafali ka bajaana

karta hai 'baqa' nala to kar jhanj mein dil se
be-jhanj hai kya is daf-e-KHali ka bajaana