shuur-e-zat thoDa sa dil-e-nadan mein rakhte hain
jamal-e-agahi jahl-e-KHirad-afshan mein rakhte hain
chaman kaisa bayaban kya simaT aaegi ye duniya
junun ke dam se itni wusaten daman mein rakhte hain
nazar ke samne rahta hai aks-e-gardish-e-dauran
hum aaina ko dil ke rauzan-e-zindan mein rakhte hain
hujum-e-gham mein yaadon ke nihan-KHane mahak uTThe
shagufe lala-zaron ke dil-e-viran mein rakhte hain
hamare soz-e-dil se nur barsati hain wo aankhen
hum apni shama taq-e-abru-e-jaanan mein rakhte hain
hamari har nazar un ki nazar mein Dub jati hai
hum apna tir un ke tir ke paikan mein rakhte hain
koi dastak koi aahaT koi jhonka koi KHushbu
'faridi' dil ko bas zinda isi arman mein rakhte hain
Ghazal
Shuur-e-zat thoDa sa dil-e-nadan mein rakhte hain
Moghisuddin Fareedi