shuur-e-zat ke sanche mein Dhalna chahta hun
main girne se bahut pahle sambhalna chahta hun
libas-e-adam-e-KHaki badalna chahta hun
main apne jism se bahar nikalna chahta hun
tumhaari yaad ki barish mein jalna chahta hun
main sang-o-KHisht hun lekin pighalna chahta hun
mere andar KHazane hain ugalna chahta hun
tah-e-patal ko chhu kar uchhalna chahta hun
mujhe pichhe nahin rahna hai jine ki tamanna
husain ibn-e-ali ke sath chalna chahta hun

Ghazal
Shuur-e-zat ke sanche mein Dhalna chahta hun
Naeem Zarrar Ahmad