shuur-e-fitrat-e-insan ka hai bedar ho jaana
kahin majbur ban jaana kahin muKHtar ho jaana
dikha kar ek jhalak us ka pas-e-diwar ho jaana
yahi to aashiqon ke haq mein hai talwar ho jaana
mere soe hue jazbaat ka bedar ho jaana
kisi behosh ka hai KHud-baKHud hushyar ho jaana
karun main KHun ka dawa to pesh-e-dawar-e-mahshar
qayamat hai magar qatil se aankhen chaar ho jaana
shikast-e-be-sutun-o-mauj-e-ju-e-shir shahid hain
nahin aasan rah-e-ishq ka hamwar ho jaana
sharaf hai ye faqat ek ashraf-ul-maKHluq insan ka
faza-e-alam-e-imkan ki had se par ho jaana
ba-qaul-e-'mir' ye insan par tohmat-tarashi hai
kisi majbur ka mumkin nahin muKHtar ho jaana
yun hi yaad-e-KHuda aa jati hai mujh ko kabhi 'shoala'
ki jaise sote sote KHwab se bedar ho jaana
Ghazal
Shuur-e-fitrat-e-insan ka hai bedar ho jaana
Shola Kararvi

