اردو हिंदी
Shukr ki ja hai ki pasti mein yahin tak pahunche | Shaahi Shayari
shukr ki ja hai ki pasti mein yahin tak pahunche

Ghazal

Shukr ki ja hai ki pasti mein yahin tak pahunche

Jagdish Sahay Saxena

;

shukr ki ja hai ki pasti mein yahin tak pahunche
aasman se jo gire hum to zamin tak pahunche

hai ye taqdir ki KHubi ki nigah-e-mushtaq
parda ban jae agar parda-nashin tak pahunche

jam o mina ki qasam hasti-e-sahba ki qasam
baada-kash ek hi laghzish mein yaqin tak pahunche

aisi taqdir kahan hai ki nasim-e-ku-e-dost
bhul kar rah kisi KHak-nashin tak pahunche

kar chuka ru-e-zamin ka jo bashar kaam tamam
ye tamanna hai ki ab charKH-e-barin tak pahunche