اردو हिंदी
Shor hai har taraf sahab sahab | Shaahi Shayari
shor hai har taraf sahab sahab

Ghazal

Shor hai har taraf sahab sahab

Kashfi Multani

;

shor hai har taraf sahab sahab
saqiya saqiya! sharab sharab

aab-e-haiwan ko mai se kya nisbat
pani pani hai aur sharab sharab

rind baKHshe gae qayamat mein
shaiKH kahta raha hisab hisab

ek wahi mast ba-KHabar nikla
jis ko kahte the sab KHarab KHarab

mujh se wajh-e-gunah jab puchhi
sar jhuka ke kaha shabab shabab

jam girne laga to bahka shaiKH
thamna thamna kitab kitab

kab wo aata hai samne 'kashfi'
jis ki har ek ada hijab hijab