shoKH-o-gustaKH jab andaz-e-saba hota hai
tab kahin ja ke hasin rang-e-qaba hota hai
rang bharne ki hain baaten sabhi afsane mein
ishq mein kaun bhala kis se juda hota hai
jab dahakte hue honTon ka tasawwur ubhre
dil mein soya hua har zaKHm hara hota hai
us se kya kahiye sar-e-rah koi baat kabhi
gar main mil jaun mujhe DhunD raha hota hai
ilm walo ye zara paDh ke batao mujh ko
kya ruKH-e-gul pe ye shabnam se likha hota hai
phir KHata puchh li tum ne to saza se pahle
aisi baaton se hi 'KHalid' wo KHafa hota hai

Ghazal
ShoKH-o-gustaKH jab andaz-e-saba hota hai
Khalid Fatehpuri