shoalon ke darmiyan bhi nahin tha mujhe hiras
aur is ke baad kya hua bas kijiye qayas
apna sunahri sal aur apne ru-pahle baal
yani ki ho gai hai meri umr ab pachas
apne lahu ki garmi hi sab kuchh hai dosto
ab jis ke baad kuchh bhi nahin un ya kapas
itni bahut si baaton se wo KHush na ho saka
itni zara si baat se wo ho gaya udas
lai dusri bhi chheD magar thoDi der baad
main jama karta hun abhi khoe hue hawas
us ek hasin jism ko dekha to yun laga
pahna tha jaise taj-mahal ne bhi ek libas

Ghazal
Shoalon ke darmiyan bhi nahin tha mujhe hiras
Qamruddin