shirk ka parda uThaya yar ne
hum ko jab apna banaya yar ne
roz-e-raushan ki tarah dekha use
garche munh apna chhupaya yar ne
zahiran maujud hai har shan se
har tarah ruKH ko dikhaya yar ne
KHwesh-o-begana faqat kahne ko hai
apna diwana banaya yar ne
banda bin jaana faqat chhupne ko hai
ghar ko virana banaya yar ne
pher gardun se hai surat har tarah
jism ka shana banaya yar ne
tu wo 'markaz' hai KHudai ka zuhur
KHatt-e-fasil ko banaya yar ne

Ghazal
Shirk ka parda uThaya yar ne
Yasin Ali Khan Markaz