اردو हिंदी
Shikwa nahin hai is ka ki tumne bhula diya | Shaahi Shayari
shikwa nahin hai is ka ki tumne bhula diya

Ghazal

Shikwa nahin hai is ka ki tumne bhula diya

Ishrat Kiratpuri

;

shikwa nahin hai is ka ki tum ne bhula diya
achchha kiya ki rah ka patthar haTa diya

gham ko nashat-e-zist ka unwan bana diya
us ne meri wafa ka ajab sa sila diya

yun hans ke us ne toD diya rishta-e-ummid
jaise kisi ne ret pe likkha miTa diya

duniya ki kam-nigahi ke shikwe ke sath sath
ye sochiye ki aap ne duniya ko kya diya

kuchh hum hi shab-gazida ujalon se Dar gae
duniya ne to adab se hamein rasta diya

main wo charagh-e-bazm-e-tamanna hun dosto
jis ko sahar se pahle hawa ne bujha diya