shikwa na chahiye ki taqaza na chahiye
jab jaan par bani ho to kya kya na chahiye
saqi teri nigah ko pahchanta hun main
mujh se fareb-e-saghar-o-mina na chahiye
ye aastan-e-yar hai sehn-e-haram nahin
jab rakh diya hai sar to uThana na chahiye
KHud aap apni aag mein jalne ka lutf hai
ahl-e-tapish ko aatish-e-sina na chahiye
kya kam hain zauq-e-did ki jalwa-faraaziyan
aankhon ko intizar-e-tamasha na chahiye
wo bargah-e-husn adab ka maqam hai
juz dard o ishtiyaq taqaza na chahiye
tegh-e-ada mein us ke hai ek ruh-e-tazgi
hum kushtagan-e-shauq ko mar jaana chahiye
hasti ke aab o rang ki tabir kuchh to ho
mujh ko faqat ye KHwab-e-zuleKHa na chahiye
is ke siwa to mani-e-majnun bhi kuchh nahin
aisa bhi rabt-surat-e-laila na chahiye
Thahre agar to manzil-e-maqsud phir kahan
saghar-ba-kaf gire to sambhalna na chahiye
ek jalwa KHal-o-KHat se bhi aarasta sahi
wamandagi-e-zauq-e-tamasha na chahiye
sab ahl-e-did be-KHud o hairan o mast hain
koi agar nahin hai to parwa na chahiye
'asghar' sanam-parast sahi phir kisi ko kya
ahl-e-haram ko kawish-e-beja na chahiye
Ghazal
Shikwa na chahiye ki taqaza na chahiye
Asghar Gondvi