اردو हिंदी
Shikwa na baKHt se hai ne aasman se mujhko | Shaahi Shayari
shikwa na baKHt se hai ne aasman se mujhko

Ghazal

Shikwa na baKHt se hai ne aasman se mujhko

Qayem Chandpuri

;

shikwa na baKHt se hai ne aasman se mujh ko
pahunchi jo kuchh aziyyat apne guman se mujh ko

qasid kahe to hai tu puchhe tha haal tera
tasdiq is ki lekin howe kahan se mujh ko

aashiq na tha main bulbul kuchh gul ke rang-o-bu ka
ek uns ho gaya tha is gulsitan se mujh ko

jata hun jis jagah ab wan KHanuman hai mera
khoya hai ai falak tin go KHanuman se mujh ko

ba-wasf-e-be-kamali izzat-talab hun 'qaem'
darKHur na ho so kyun-kar ahl-e-jahan se mujh ko