shikwa-e-gardish-e-haalat liye phirta hai
jis ko dekho wo yahi baat liye phirta hai
us ne paikar mein na Dhalne ki qasam khai hai
aur mujhe shauq-e-mulaqat liye phirta hai
shaKHcha TuT chuka kab ka shajar se lekin
ab bhi kuchh sukhe hue pat liye phirta hai
sochiye jism hai ab ruh se kaise ruThe
apne sae ko bhi jo sat liye phirta hai
aasman apne iradon mein magan hai lekin
aadmi apne KHayalat liye phirta hai
partaw-e-mahr se hai chand ki jhilmil 'anwar'
apne kase mein ye KHairaat liye phirta hai
Ghazal
Shikwa-e-gardish-e-haalat liye phirta hai
Anwar Masood