shikwa-e-beja ki kya un se shikayat hum karen
kuchh to hain pahle hi barham aur kya barham karen
wo tawajjoh den to ho aarasta bazm-e-hayat
wo nigahen pher len to anjuman barham karen
yun badal len tala-e-KHurshid se baKHt-e-siyah
aasman ki tarah sar ko tere dar par KHam karen
aaina-dar-e-numud-e-husn roz-afzun jo ho
hum kahan se roz paida ek naya aalam karen
aagahi sar-chashma-e-ranj-o-alam 'tasir' hai
hum KHushi se hi nahin waqif to phir kya gham karen
Ghazal
Shikwa-e-beja ki kya un se shikayat hum karen
Mohammad Deen Taseer