shikasta-paiyan hain jaan-o-dil bhi chur hain saqi
hamiyat ke kaleje mein baDe nasur hain saqi
idhar ghairat ki KHushki hai na gular hai na beri hai
magar jis samt chamche hain udhar angur hain saqi
taqarrub-ha-e-afsar hai na aish-e-murgh-o-mahi hai
abhi daftar ke aane par bhi hum majbur hain saqi
sabhi masum-o-sadiq laeq-e-tazir ho baiThe
teri sarkar ke kaise ajab dastur hain saqi
KHudi ki pasdari mein sukun-e-jaan ganwa baiThe
bayaban mein bhaTakte hain chaman se dur hain saqi
siyah halqe hain aankhon mein siyahi ruKH pe bikhri hai
wufur-e-dard se ghar mein sabhi langur hain saqi
Ghazal
Shikasta-paiyan hain jaan-o-dil bhi chur hain saqi
Ziaur Rahman Azmi