shikasta-pa hi sahi dur ki sada hi sahi
bikhar gaya jo hawa se wo naqsh-e-pa hi sahi
ye hukm hai ki gae mausamon ko yaad karun
nai ruton ka tajassus mujhe mila hi sahi
zamin ke baad abhi aasman ke dukh bhi sahun
mere liye ye saza hai baDi ata hi sahi
charagh kah ke mera nur mujh se chhin liya
charagh phir bhi rahunga bujha hua hi sahi
saja liye hain masaib ke nir aankhon mein
sukun ki nind nahin hai to ratjaga hi sahi
ai dhaDkanon ko naya nur baKHshne wale
main nur se hi tahi tu meri KHata hi sahi
haqiqaton ke badan par koi labaada nahin
agar ye sach ki saza hai to phir saza hi sahi
ye dil ka karb labon tak kabhi na aaega
mere liye ye KHamoshi ka irtiqa hi sahi
jahan ke dard ko 'anwar' ne sameT liya
main ek KHushi ki tamanna mein mar-miTa hi sahi
Ghazal
Shikasta-pa hi sahi dur ki sada hi sahi
Anwar Feroz