اردو हिंदी
Shikasta aks tha wo ya ghubar-e-sahra tha | Shaahi Shayari
shikasta aks tha wo ya ghubar-e-sahra tha

Ghazal

Shikasta aks tha wo ya ghubar-e-sahra tha

Jazib Quraishi

;

shikasta aks tha wo ya ghubar-e-sahra tha
wo main nahin tha jo KHud apne ghar mein rahta tha

ajib shart-e-safar thi mere liye ki mujhe
siyah dhup mein raushan charagh rakhna tha

fasil-e-sang se mujh ko utarne aaya
wo ek sitara jo main ne kabhi na dekha tha

na jaane kaun se mausam mein ji raha tha main
ki meri pyas thi meri na mera dariya tha

shajar ki chhanw se bahar hai rizq tair ka
wo sahilon pe na Thahra kabhi jo pyasa tha

kise pukar raha tha mera adhura-pan
main garm ret pe taza gulab rakhta tha

hazar kam-suKHani darmiyan rahi phir bhi
wo mujh se aan mila tha to rang barsa tha

main bujh gaya to mere jism-o-jaan khule mujh par
charagh aur tha koi jo mujh mein jalta tha

wo apne ghar mein ujala na kar saka 'jazib'
tamam raat jo suraj ke KHwab rakhta tha