اردو हिंदी
Shisha hi chahiye na mai-e-arghawan mujhe | Shaahi Shayari
shisha hi chahiye na mai-e-arghawan mujhe

Ghazal

Shisha hi chahiye na mai-e-arghawan mujhe

Anees Ahmad Anees

;

shisha hi chahiye na mai-e-arghawan mujhe
be-mange jo mile wahi kafi hai han mujhe

ai shoKHi-e-nigah zara ehtiyat rakh
is bazm mein hai pas-e-hadis-e-butan mujhe

yarab mere gunah kya aur ehtisab kya
kuchh di nahin hai KHizr si umr-e-rawan mujhe

chunta tha rah-e-zist ke KHaron ko main hanuz
hai sab abas ajal ne kaha na-gahan mujhe

lagta hai ek hujum mein gum hai mera wajud
Dasti hain phir bhi kis liye tanhaiyan mujhe

un ke liye hain atlas-o-kamKHwab ke sarir
tan Dhankne ko kafi hain kuchh dhajjiyan mujhe

kya kya sitam zamane ke main sah gaya 'anis'
marne ke baad yaad karoge miyan mujhe