shiddat-e-intizar kaam aai
un ki tahrir mere nam aai
din mein hum ne bhula diya tha tujhe
raat lene ko intiqam aai
subh markaz bani umidon ka
sham mayusiyon ke kaam aai
dekhte dekhte tera chehra
KHud-ba-KHud qudrat-e-kalam aai
Ghazal
Shiddat-e-intizar kaam aai
Shuja Khaavar

