اردو हिंदी
Sher kahne ka maza hai ab to | Shaahi Shayari
sher kahne ka maza hai ab to

Ghazal

Sher kahne ka maza hai ab to

Gopal Mittal

;

sher kahne ka maza hai ab to
dil ka har zaKHm hara hai ab to

itna be-sarfa na tha dil ka lahu
bagh daman pe khila hai ab to

bujh hi jae na kahin dil ka charagh
waqai tund hawa hai ab to

zindagi zindagi hoti thi kabhi
mar na jaane ki saza hai ab to

tha koi shaKHs kabhi mahram-e-dil
wo mujhe bhul chuka hai ab to

KHugar-e-shahr hue diwane
chaak-e-daman bhi siya hai ab to

dil ka ye haal hamesha to na tha
jaane kya mujh ko hua hai ab to