اردو हिंदी
Sher hota hai ab mahinon mein | Shaahi Shayari
sher hota hai ab mahinon mein

Ghazal

Sher hota hai ab mahinon mein

Habib Jalib

;

sher hota hai ab mahinon mein
zindagi Dhal gai mashinon mein

pyar ki raushni nahin milti
un makanon mein un makinon mein

dekh kar dosti ka hath baDhao
sanp hote hain aastinon mein

qahr ki aankh se na dekh in ko
dil dhaDakte hain aabginon mein

aasmanon ki KHair ho yarab
ek naya azm hai zaminon mein

wo mohabbat nahin rahi 'jalib'
ham-safiron mein ham-nashinon mein