shauq ko aazim-e-safar rakhiye
be-KHabar ban ke sab KHabar rakhiye
chahe nazren ho aasmanon par
panw lekin zamin par rakhiye
baat hai kya ye kaun parkhega
aap lahje ko pur-asar rakhiye
jaane kis waqt kuch karna ho
apna saman muKHtasar rakhiye
ek Tuk mujh ko dekhe jati hain
apni nazron pe kuchh nazar rakhiye
Ghazal
Shauq ko aazim-e-safar rakhiye
Nikhat Iftikhar