shauq ki had ko abhi par kiya jaana hai
aaine mein tera didar kiya jaana hai
hum tasawwur mein bana baiThe hain ek chaara-gar
KHud ko jis ke liye bimar kiya jaana hai
dil to duniya se nikalne pe hai aamada magar
ek zara zehn ko tayyar kiya jaana hai
toD ke rakh diye baqi to ana ne sare
but bas ek apna hi mismar kiya jaana hai
dekhni hai kabhi aaine mein apni surat
ek muKHalif ko taraf-dar kiya jaana hai
masala ye nahin ki ishq hua hai hum ko
masala ye hai ki izhaar kiya jaana hai
KHwabon aur KHwahishon ki baaton mein aa kar kab tak
KHud ko ruswa sar-e-bazar kiya jaana hai
ek hi bar mein ukta se gae ho jis se
ye tamasha to kai bar kiya jaana hai
kaun paDhta hai yahan khol ke ab dil ki kitab
ab to chehre ko hi aKHbar kiya jaana hai
Ghazal
Shauq ki had ko abhi par kiya jaana hai
Rajesh Reddy