اردو हिंदी
Shauq ka rang bujh gaya yaad ke zaKHm bhar gae | Shaahi Shayari
shauq ka rang bujh gaya yaad ke zaKHm bhar gae

Ghazal

Shauq ka rang bujh gaya yaad ke zaKHm bhar gae

Jaun Eliya

;

shauq ka rang bujh gaya yaad ke zaKHm bhar gae
kya meri fasl ho chuki kya mere din guzar gae

rah-guzar-e-KHayal mein dosh-ba-dosh the jo log
waqt ki gard-baad mein jaane kahan bikhar gae

sham hai kitni be-tapak shahr hai kitna sahm-nak
ham-nafaso! kahan ho tum jaane ye sab kidhar gae!

pas-e-hayat ka KHayal hum ko bahut bura laga
pas ba-hujum-e-marka jaan ke be-sipar gae

main to safon ke darmiyan kab se paDa hun nim-jaan
mere tamam jaan-nisar mere liye to mar gae