shauq-e-warafta ko malhuz-e-adab bhi hoga
shart hai mal-e-arab pesh-e-arab bhi hoga
lab-o-ruKHsar mein hogi gul-o-mahtab ki baat
aankh mein tazkira-e-bint-e-inab bhi hoga
man leta hai meri baat mera hila-taraaz
aur sab wadon mein ek wada-e-shab bhi hoga
ishq wo shai hai ki barfile nihan-KHanon mein
sard paD jae sharar-bar to jab bhi hoga
be-talluq hi sahi ye magar us shaKHs ke pas
dil jo lagta hai to lagne ka sabab bhi hoga
har gali shahr ki ghaalicha-e-ushshaq nahin
KHun-e-nahaq hai to phir dad-talab bhi hoga
qahr darwesh to hota hai ba-jaan-e-darwesh
zer-e-farman jo hota tha so ab bhi hoga
karb ke zahr ka mara hua insan hai ye
sar pe sau bojh magar KHanda-ba-lab bhi hoga
ek asa pas na ho zoam-e-kalimi bhi ho
aisa lagta hai ki ye kar-e-ajab bhi hoga
yun to be-ab hain KHeme ye jahan tak bhi hain
dil ye kahta hai kahin abr-e-tarab bhi hoga
Ghazal
Shauq-e-warafta ko malhuz-e-adab bhi hoga
Syed Amin Ashraf

