shauq deta hai mujhe paigham-e-ishq
hath mein labrez le kar jam-e-ishq
aap hun zauq-e-asiri se KHarab
koi le jae mujhe ta dam-e-ishq
ishtiyaq-e-sajda se betab hun
ai harim-e-kaba-e-islam-e-ishq
qais o wamiq se kahan ab ahl-e-dil
tha inhin logon se raushan nam-e-ishq
nash par farhad ke shirin gai
wo sitam-parwarda-e-alam-e-ishq
aur yun karne lagi ro kar KHitab
ai wafa ki jaan ai nakaam-e-ishq
tujh se raunaq-ashna hai subh-e-shauq
tujh se zinat-afrin hai sham-e-ishq
jaan de kar tu to chhuTa ranj se
rah gai main hi bala aasham-e-ishq
tera marna ishq ka aaghaz tha
maut par hoga mere anjam-e-ishq
'wahshat'-e-wahshi ki tha sab se alag
ho gaya kya be-takalluf ram-e-ishq
Ghazal
Shauq deta hai mujhe paigham-e-ishq
Wahshat Raza Ali Kalkatvi