اردو हिंदी
Shauq baqi nahin baqi nahin ab josh-o-KHarosh | Shaahi Shayari
shauq baqi nahin baqi nahin ab josh-o-KHarosh

Ghazal

Shauq baqi nahin baqi nahin ab josh-o-KHarosh

Dr. Azam

;

shauq baqi nahin baqi nahin ab josh-o-KHarosh
din wo pur-kaif the jab hum the sarasar madhosh

maslahat josh-e-baghawat ko daba deti hai
dil dhaDakta hai magar dil ki sadaen KHamosh

ab koi surat-e-guftar nazar aati nahin
wo bhi KHamosh mera radd-e-amal bhi KHamosh

teri raftar lagatar ho kachhue ki tarah
warna rah jaega tu rah mein misl-e-KHargosh

zist ki rah pe tanha na kabhi chal paya
gham-e-jaanan gham-e-dauran bhi rahe dosh-ba-dosh

samna dahr ka tanha use ab karne de
panw mein beTe ke aane lage teri pa-posh

bazm-e-urdu se hui der bahut aae hue
ab talak sans mein KHushbu hai moattar hain gosh

ab to ghar-bar mein lagta hi nahin dil 'azam'
aisa lagta hai ki ho jaenge hum KHana-ba-dosh