sharminda nahin kaun teri ishwa-gari ka
be-wajh nahin munh ka chhupana hai pari ka
jo lab ko tere dekh ke behosh na howe
dawa usi ko bhata hai sahab-jigari ka
tum dil hi mein palte rahe ho sikha kahan se
ai ashk ye shewa jo liya parda-dari ka
jis tarah sune mujh se kahe yar se ja kar
ye Dhab kisi ko aata hai paighambari ka
patthar se hon dil yak-nigah-e-garm mein pani
hai ishq se ijad hunar shishagari ka
chal aaina-KHane mein ki hai zor-e-tamasha
jis tarf nazar kijiye aalam hai pari ka
afsos shab-e-hijr ki sham aate hi mar gae
kya kya tha bharosa hamein aah-e-sahari ka
kar qatl mujhe shauq se badnami se mat Dar
dastur nahin kushte pe yan nauhagari ka
hairan hun aai na nazar mein kamar us ki
dawa tha mujhe apni 'raza' dida-wari ka
Ghazal
Sharminda nahin kaun teri ishwa-gari ka
Raza Azimabadi

