sharik-e-haal-e-dil-e-be-qarar aaj bhi hai
kisi ki yaad meri gham-gusar aaj bhi hai
mujhe to kal bhi na tha un par iKHtiyar koi
aur un ko mujh pe wahi iKHtiyar aaj bhi hai
teri taraf se zuhur-e-karam nahin na sahi
tere karam ka mujhe e'tibar aaj bhi hai
wo rasm-e-shauq kahan ab magar ye aalam hai
ki jaise dil ko tera intizar aaj bhi hai
kisi ka naqsh-e-kaf-e-pa to ab kahan lekin
nishan-e-sajda sar-e-rahguzar aaj bhi hai
wo un ka gham ki nigahen badal chuka 'aKHtar'
kamal-e-shauq ka parwardigar aaj bhi hai
Ghazal
Sharik-e-haal-e-dil-e-be-qarar aaj bhi hai
Aleem Akhtar